Monday, November 25, 2019

Ittefaq

Yun Hi Nahi Bante Silsile
Yun Hi Nahi Hote Ittefaq
Taqdeer Ki Apni Ek Kahani Hai
Paani Me Bhi Lag Jaati Hai Aag

Kuch Tha Aisa Uski nigaah Mein
Ki Theher Gayi Nazar Milte Hi
Warna Ye Nahi ki Itni Kamzor Niyat Hai Apni
Ki kisi pe bhi ho jaye kharaab

Jis andaaz se utha kar jhukayi nigaah usne
Bijli si giri is Dil pe
Ek hulchul si hui
Ek Khushboo si urdi
Dekha nahi kabhi aisa Shabab
Yun Hi Nahi Bante Silsile
Yun Hi Nahi Hote Ittefaq




Tanhaai To Hai...

Dabi hui si hain kahin, par tanhai to hai
Shehnaaiyon ke shor me bhi kahin, Tanhaai to Hai

Milte hain log tamaam zindagi ke safar me chalte chalte
par phir bhi kahin dil me, Tanhaai to Hai

Dil me utre kitne hi log, milte rahe bichardte rahe
Itne saaye hone ke bawajood kahin Tanhaai to Hai


Sunday, December 16, 2018


Ruk zara ae pal Ki bana loon
Tasveer uski zehen me saja loon
Na Jane Kab wo phir muskuraye
Na jane kab wo phir sharmaye
Is pal me ek zindagi guzaar loon
Ruk zara ae pal ki bana loon
Tasveer uski zehen me saja loon

Na jane kab wo nazar phir jhuka le
Na jane kab phir वो परदे  uthaye
Uski nigahon ki masti to man mandir me basa loon
Ruk zara ae pal Ki bana loon
Tasveer uski zehen me utar loon

Uske chehre pe meri nazar ka tham jana
Aur uska apni hatheliyon ko parda banana

Us pal me Meri dhardkano ka tez hona
Aur saanso ka ruk jana

Qaid kar loon is lamhe ko umr bhar ke liye zara
Ruk zara ae pal ki bana loon
Tasveer uski zehen me saja loon

Khuda Ke Saath

जीवन में हमेशा ईश्वर का साथ रहा 
गुरु का प्यार और संरक्षण रहा 
महसूस हो या न हो पर हर पल 
आशीर्वाद और  प्यार रहा 

वापस मुड़ के देखा तो समझ आया की क्या होता रहा 
जो भी इच्छा मन में रही कभी 
ईश्वर ने पूरी की 
जाने अनजाने हर इच्छा पूरी हुई 

मन ने कभी कुछ ऐसा भी चाहा जो चाहना ठीक नहीं हो 
फिर भी वो इच्छा पूरी हुई 

Friday, November 30, 2018

Bas Yun Hi..


Guzarti Gayi Zindagi Bas Yun Hi

Kuch Purane Dost Yaad Aate Rahe
Kuch Unki Baatein
Kuch Befikri ke Wo Pal
Jaise mutthi me ho Kal
Wo Jazba Woh Josh
Masti me Madhosh
Yaaron ki baahon me 
Jaise Har Gham se Mehfooz

Jawani Guzar Gayi
Umr Badhti Rahi
Haathon Se Fisalti Rahi
Dost Bichardte Gaye
Zindagi Chalti Rahi
Wo Befikiriyan Kho Gayi
Zimmedariyan Aa Gayin
Naye saath huye
Waqt se do-do Haath huye
Bheerd me Tanhaiyan Saamne Aayi
Zamane ki sacchayiyan Saamne Aayi


Har Kisi Ko Gale Nahi lagate
Ye Baat Samajh Me Aayi
Peeth pe dekho to nishaan nahi
Par Usme Lage Khanjaron Ne Ye Baat Sikhlaayi
Har Kisi ko Dost Nahi Banate 
Har Kisi Ko Gale Nahi Lagate




Wednesday, May 25, 2016

Badal Ke Dekh

---------------------
Nazar Nazar Ka Fark Hai
Nazar Badal Ke Dekh,
Vaada Nibhana Mushkil Nahi
Neeyat Badal Ke Dekh


Badnami Pe Na Ja
Ishq Itni Bhi Buri Cheez Nahi
Apna Rakhne Me Maza Nahi
Dil Badal Ke Dekh

Mohobbaton Ki Baaziyan
Bemisaal Hain Yakeenan
Haar Khud Jayenge Jeetne Wale
Tu Chaal Badal Ke Dekh


Mohobbat Nahi Karti Fark
Ameer Gareeb Ka
Apni Gali Se Bahar Nikal
Ghar Badal Ke Dekh

Friday, May 13, 2016

Mohobbat Kuch Nahi Hai
Tilism Hai Pal Bhar Ka
Koi Koi Pal Chota Hota Hai
Koi Umr Bhar Ka..